Masaan — songs and lyrics

I FEEL LIKE THE COOL PART ABOUT MUSIC IS THAT YOU CAN TELL THE TRUTH.

,
,
,
,

Masaan

MUSIC BYIndian OceanYEAR2015
Paat na paaya meetha paani
Paat na paaya meetha paani
Or-chor ki doori re
Man kasturi re, jag dasturi re
Man kasturi re, jag dasturi re
Baat hui na poori re
Man kasturi re, jag dasturi re
Baat hui na poori re
♪
Khoje apni gandh na paave
Chadar ka paiband na paave
Khoje apni gandh na paave
Chadar ka paiband na paave
Bikhre-bikhre chhand sa tahle
Dohon mein ye bandh na paave
Naache ho ke phirki lattu
Naache ho ke phirki lattu
Khoje apni dhoori re
Man kasturi re
Jag dasturi re
Man kasturi re
Jag dasturi re
Baat hui na poori re
Man kasturi re, jag dasturi re
Baat hui na poori re
♪
Umar ki ginti haath na aayi
Purkhon ne ye baat bataayi
Ulta kar ke dekh sake to
Ambar bhi hai gahri khaai
Rekhaon ke paar nazar ko
Jisne phenka andhe man se
Satrangi bazaar ka khola
Darwaza bin zor jatan ke
Phir to jhooma baawal ho ke
Phir to jhooma baawal ho ke
Sar pe daal fitoori re
Man kasturi re
Jag dasturi re
Baat hui na poori re
Man kasturi re, jag dasturi re
Baat hui na poori re
Man kasturi re
Jag dasturi re
Baat hui na poori re
Paat na paaya meetha paani (man kasturi re)
Jag dasturi re
Man kasturi re, jag dasturi re
Meetha paani
Baat hui na poori re

No lyrics available